Kartik chht puja khas kar bihar or utar pradesh me bahut dhum dham se manaya jata hai is tyohaar me bahut niyam bartni padti hai. Yah tyohaar 4dino ka hota hai. Pahla din purani sanjhat ka hota hai is din jo parbaiti hoti hai bo niyam se chht mai ki puja karti hai or is din bahut niyam se prasad grahn karti hai uske 2sra din parbaiti pura din upbas rahti hai or sandhya samay bahut niyam se bhojan (jise log prasad hi kahte hai) banta hai jisme arba chabal(kacha basmti chabal) or chana dal chabl ke aataka pitha/puri banta hai uske bad chht mai ka puja or git hota hai. Puja hone ke bad sabse pahle parbaiti (jochhat puja kafegi ya karega) prasad grahan karti hai is din ko bihar me lohnda ka prsad kaha jata hai. Is din sab logon ko bula kar khila jata hai. 3sra din parbaiti pura din upbas rah kar sandhya se pahle sury devta ko argy diya jata hai fir prabati rat bhar upbas rah kar subah naha dhokar ugate sury devta ko arghy deti hai is din log achhe achhe kapde pahan kar git gati hui dhum dham se jate hai. Yah parv kartik mahine manaya jata hai jo ki divali ke 4din bad se suru ho jata hai.
सदस्यता लें
संदेश (Atom)
--- 🌸 अधूरी ख्वाहिशें: एक भावनात्मक कहानी सामाजिक ---1 bat jarur pade ✨ परिचय हर इंसान की जिंदगी में कुछ सपने देखते रह जाते हैं। लेकिन कभी...
-
--- सफ़र-ए-ज़िंदगी – मंज़िल से ज़्यादा रास्ते का मज़ा जिंदगी... एक लंबा सफर है, जहां हर मोड़ पर नई कहानी, नए सबक और नए ग्राहक मिलते हैं। कभी...
-
ठीक है, मैं आपके लिए दिल को छूने वाला, 800 शब्दों का ब्लॉग लिखता हूं जो ब्लॉगर में सीधे अपलोड हो सके। मैं इसे इमोशनल कहता हूं, जैसे कहानी और...